How to Benefit. Course ka faida kaise uthana

English seekhne ki class mein aapka swagat aur istiqbal hai. Mera naam hai sauban pathan hai aur mein appko English seekne mein madad karooga. Maine yeh video ka silsila is liye shuru kiya, ki bahut se students chahte hai ki unke paas ek aisa tareeka ho jisse woh English seekhey, baar baar lesson dohraye, aur jab chahe tab lesson kar sake. Toh in sab masaley aur problem ka hal mujhe online videos mein mila. Students yeh videos kabhi bhi dekh saktay hai aur class mein seekhne se zyaada practice ho sakti hai jo koi bhi zabaan seekhne ki liye behad zaroori hai.

In lessons ka fayda koi bhi utha sakta hai. Agar aapko English seekhna hai ya seekhana hai toh most welcome.

In videos mein main thodi si hi baat he kahooga taaki yeh lessons chote aur asaan ho. Iske baad practice par dhyan diya jana chahiye. Jaise English mein kehte hai baby steps. Agar aap English seekhna chahte hai toh sahi jagah par aaye hai.

Yeh lessons aur videos ka maqsad aapko English baat cheet seekhana taaki aap araam se English bina hich kichai bol sakey. Yeh lessons aapko ek dam basic English, yaani a b c aur English padhna nahi sikhaege. Mera manna hai ki agar aap is website tak pahunch gaye hai toh aapko itni English aati hai ki likha hua padhna aata ho. Yeh lessons Hindi transliteration se bane hai yaani Hindi ko English mei likha hai. Mei yehi baat Hindi aur Urdu mei bhi likh kar share karooga.

In lessons mei videos hai, likhkar samjhaya gaya hai, sawaal hai, aur alag alag tareeke se yaad dahani ke liye quiz bhi hai.

Koi bhi zabaan seekhne ke liye uske 4 hisse seekhne padhte hai.

  1. Grammar
  2. Vocabulary
  3. Pronunciation
  4. Phrases, Idioms and colloquialism of a particular area

Diye gaye lessons mei grammar ka bada hissa hai. Lekin Vocabulary bhi di gayi hai aur ussey seekhna bhi bahut zaroori hai.

Chalte chalte shayad kucch words aisa bhi ayegay jo samajh mei nahi ayegey. Isliye dictionary dekhna shuru kar dena ya google par aaj kal sab words ke meaning mil jaate hai.

इंग्लिश सिकने की क्लास में अप्पके स्वागत है। मेटा नाम है सायबान पठान। में आपको इंग्लिश सीखने में मदद करुगा। मैंने यह इंग्लिश के पाठ इस लिए शुरू किये है क्योंकि की बहुत से स्टूडेंट चाहते है एक ऐसा तरीका जिससे वह सीख भी सके और बार बार दोहराये सके. जब चाहे तब लेसन देख सके. यह सब चीज़ का प्रॉब्लम का एक सलूशन है वीडियो। छात्र कभी भी वीडियो देख सकते है और प्रैक्टिस कर सकते है. टीचर इन लेसन को इस्तेमाल करके अपने इंग्लिश पाठ में भी मदद ले सकते है.

इन इंग्लिश के पाठ मैंने छोटे रखा हूँ और सब वीडियोस मैंने छोटे बनाया हूँ ताकि लम्बे पाठ देखका आप बोर न हो जाये।

कोई भी भाषा या ज़बान सीखना है तोह यह ४ चीज़ें सीखना ज़रूरी है

यह ४ चीज़ है:
१. जुमला बनाने का तरीका जिसे इंग्लिश में ग्रामर कहते है Grammar
२. लफ्ज़ या शब्द का खज़ाना यानी वोकैबुलरी Vocabulary
३. प्रोनन्सिएशन यानी कोई भी लफ्ज़ या शब्द बोलने का तरीका Pronunciation
४. फ्रांसेस और इडियम्स हर भाषा और ज़बान में होते है और यह भी सीखना ज़रूरी है। Phrases, Idioms and colloquialism

Next: Lesson 1: English Alphabet Phonic Sounds and Examples